Ab Voh Mujhse Baat Karti Hai

"Ae Shaam yeh teri beimaani hai 

Tere aate hi jaane ki manmaani hai 

Tu uski yaad leke aati hai 

Aur Mujhe, raat ke havale kar jaati hai


Raat se darr lagta hai

Uski baat se darr lagta hai 

Ae shaam Tu thode jo baar baar uss

Aietbaar se darr lagta hai..

 

Surkh Shaam ki andheri raat aaj bhi aayi hai

Lekin aaj - aaj voh mere darr ko dhund nahi payi hai 

Sach kahun - raaton ko mai andheron se pehchanta thaa

Jab tak mai jugnon ko nahi jaanta thaa

Ek jugnu dikha hai tou aur bhi hotey hongey

Phir jaadu bhi hota hoga, Chirago mei Jin hotey hongey 

Dariya aur sapney bhi pure hotey hongey

Har raat Ek Chand mere liye chamakta hoga

Chandni mere farishton ke farman barasta hoga 


Aur phir..

Aur phir pyaar bhi hota hoga

Hota hoga Lekin kya hota hoga 

Andhere mei roshni ka aana 

ya March ki garmi mei Kuch sochke kapkapana

Chaddar mei muh chipaana 

Bistar se uth na paana

Mann ki mej par bhaitkar 

Usse ghanto batiyana

Chatpatana, muskurana 

Apne ho baalon ko sehlana 

Buss uski yaadon mei khotey chale jaana 

Buss khotey chale jaana 


Haan pyaar tou hai, 

Voh mujhse baat karti hai

Yeh kehke khaas karti hai

Voh Haske dheere se khusiyaar karti hai

Voh dekhti hai meri aur surkh mere halaat karti hai 

Mujhe lagta hai ke 

main hun 

Kyunki 

Abb voh mujhse baat karti hai…"


--------------------------------------------------Katha Ankahee

Comments

Popular posts from this blog

No matter how hard you burden me, my heart feels lighter